Jab bhi kisi bacche ko maa ki god me dekhta hun..
Teri ek saundhi si tasak mere man me lagti hai..
Maa tu toh batla deti hai ..
Per Main ye kaise batlaaun ki tu kitni yaad aati hai..
Bhooka thakaa haara jab ghar pahuchta hun..
Finke se khaane me ghar ki roti ki mehak khojne ki koshish karta hun..
Maa tu toh khila deti thi..
Ab teri woh doodh roti bahut yaad aati hai..
Subah ki bakjhak me kisi tarah uthta hun..
Roz sirhaane ghadi rakh ke sota hun..
Maa tu toh utha deti thi...
Ab tera woh aawaaz dena bahut yaad aata hai..
Kabhi baazar nikalta hun..
Idhar udhar bhatakta firta hun..
Maa pehle tu saath hoti thi..
Ab woh dukaan waale se molbhaaw bahut yaad aata hai...
Office me hui choti si baat ko ..
Main dil pe laga leta hun..
Maan pehle tu samjhaa deti thi..
Ab woh papa ki daant pe tera pyaar barsaana yaad aata hai..
Ab kapdon kitaabon ko bikhra hua paata hun..
Press ke liye dhobi ke paas jaata hun..
Maan pehle tu ye sab kar deti thi..
Ab woh tera subah moje dhundh ke laanaa yaad aata hai..
Jab bhi sar dard karta hai mera..
Ek saridon ki tablet le leta hun..
Maan pehle tu apne pyaar ki shishi jam kar mere sar pe udelti thi..
Ab woh tera sar pe dheeme dheeme haath firaana yaad aata hai
Maana maine batlaaya nahi tha..
Per teri har ek baat maine dil se laga rakhi hai..
Is baar ghar lautunga toh fursat se tujhse baat karunga
Fir ye naa kehna ki beta ab tu badal gya hai...
PS:Not a poem as such..Take it as it comes..
AMRIT RAJ
28.2.2012
No comments:
Post a Comment