Friday, August 30, 2013

FIR WAHI SHAAM THI (TRIVENI)

hum kuch behke se the;
tum kuch alag alag..
baithe jo hum saath me;ek daastaan si ban gyi....

tumhaire paimaane ka jaam jo chalak utha...
saaki ne poori botal udel di....
is raqeeb ka khayal kise tha;bas peene ki hod thi...

ham tum hote;tum ham hote..
toh ye zindagi aisi masroof naa hoti...
per kya karein is ham-ham me hi saari zindagi beet gyi...

kalam;kaagaz; khud(a) aur tumko...
rakhta tha saath me...
bas kuch sikkon ki kami thi shaiyad...

chamakte shaam ko dhundhla banaa diya...
chalakte jaam ko geela bana diya....
peene baithe jo saath me;raat ko ujla bana diya...

jalti cigarette ne kai baar nasihat di...
ki khud toh jal rhi hun aur tumhen bhi jala rhi hun..
per ishq aur tumne toh ek jhonke me hi jalaa daala..

daudti- bhaagti -dhokaa deti is zindagi mein...
bas is takiye ka hi sahara hai..
jo raat ko gale lagaata hun toh subah bhi saath milti hai...

lagta hai bas yahin tak ka saath tha humaara...
ab meel ke patharon per do sahron ka naam likha pada hai..
aur door ek mod bhi nazar aa rha hai...


AMRIT RAJ
Dediacted to the people who love triplets.
Its the time we are parting away and this is for the people who have given me  company everytym.
The drinking sessions in BIT have been  awesome...
I have amused and annoyed many of u..but the company u all gave me wuld be cherished for lifetime..
Keep drinking and call me if u want some more company....there is little time left.. :(



7.05.2011

No comments:

Post a Comment