Friday, August 30, 2013

Kuch dil se

patharon ko anguthiyon me saja ke rakhne waalon..
aise pathar naa ban jaana...
ki silan bhi thehar ke nikal jaaye...

bachpan me kuch cheezon ko bahut sambhaal ke rakhta tha..
wo rubber waali pencil;woh double decker pencil box..
aajkal un yaadon ko sambhaal ke rakhta hun..

bat aur wicket ghar ki aangan me pada tha..
cycle bhi apni bechargi pe afsos kar rhi thi..
bas ek video game ka remote bahut khush tha..

super commando dhruv aur naagraj...
woh starline woh vishdant saanp..
yeh toh bas kal ki hi baatein hain..

tiffin box me kya hai..
ye hot topic hua karta tha..
padhai toh bas bahaana tha..

mowgli mahabharat shaktimaan...
inse bahut gehra sa rishta hua karta tha..
sab sunday ki subah darwaaza khatkhataate the..

garmi ki chuttiyon me naani ghar jaana..
woh aam khaana woh baarish me nahaana..
ab bhi un aam ke tikolon ki tarah hara hai sab..

samay ki sui aaj baar baar ishaara karti hai..
waapas laut toh nahi sakte..
per suiyon ka milna bichadna yaad kar sakte hain..

(PS:not a pOEm just a collection of triplets)

March 18 2012

No comments:

Post a Comment